sub.h tak chaahato.n ke diye
sub.h tak chaahato.n ke diye, aandhiyo.n mei.n jalaayega kaun
daastaa.n khatm hone ko hai, ab mohabbat nibhaayega kaun
naaz jiski wafaao.n pe tha, aaj wo be-wafaa ho gaya
chhoti-chhoti si baato.n pe ab humko pairo.n rulaayega kaun
hoshiyaari se jaadu dikha, aye naye daur ki saahera !
tu hi patthar agar ho gayi, humko insaan banaayega kaun
apni tahzeeb ki laash par rone waala bhi koi nahi.n
ye shajar hi agar gir gaya, fir kahaani sunaayega kaun
सुब्ह तक चाहतों के दिये, आँधियों में जलाएगा कौन
दास्ताँ ख़त्म होने को है, अब मोहब्बत निभाएगा कौन
नाज़ जिसकी वफाओं पे था, आज वो बे-वफ़ा हो गया
छोटी-छोटी बातों पे अब हमको पैरों रुलाएगा कौन
होशियारी से जादू दिखा, अये नए दौर की साहिरा !
तू ही पत्थर अगर हो गयी, हमको इंसान बनाएगा कौन
अपनी तहज़ीब की लाश पे रोने वाला भी कोई नहीं
ये शजर ही अगर गिर गया, फिर कहानी सुनाएगा कौन
zindagi ke safar mei.n ek mod aisa aa gaya
zindagi ke safar mei.n ek mod aisa aa gaya
sabko dhoka dene waala khud hi dhoka kha gaya
ज़िन्दगी के सफर में एक मोड़ ऐसा आ गया
सबको धोका देने वाला खुद ही धोका खा गया
teeragee mei.n sub.h ki tanweer ban jaaei.nge hum
teeragee mei.n sub.h ki tanweer ban jaaei.nge hum
khwaab tum dekhoge aur taa’beer ban jaaei.nge hum
ab ke ye socha hai gar aazaad tumne kar diya
khud hi apne paao.n ki zanjeer ban jaaei.nge hum
usne bhi auro.n ki tarha hi kiya humse sulook
jo ye kehta tha teri taqdeer ban jaaei.nge hum
तीरगी में सुब्ह की तनवीर बन जाएंगे हम
ख्वाब तुम देखोगे और ता’बीर बन जाएंगे हम
अब के ये सोचा है गर आज़ाद तुमने कर दिया
खुद ही अपने पाओं की ज़ंजीर बन जाएंगे हम
उसने भी औरों की तरह ही किया हमसे सुलूक
जो ये कहता था तेरी तक़दीर बन जाएंगे हम
us se milne ki justajoo bhi hai
us se milne ki justajoo bhi hai
aur wo mere rubaroo bhi hai
humne socha dil jalaa daalei.n
fir khayaal aaya dil mei.n tu bhi hai
hosla bhi nahi.n hai jine ka
aur jine ki aarzu bhi hai
उस से मिलने की जुस्तजू भी है
और वो मेरे रूबरू भी है
हमने सोचा दिल जला डालें
फिर ख़याल आया दिल में तू भी है
हौसला भी नहीं है जीने का
और जीने की आरज़ू भी है
jab hum apne ghar aaye
jab hum apne ghar aaye, aankh mei.n aansu bhar aaye
chidiyaa ro kar kehti hai, kyu.n bachcho.n ke par aaye
andar dam gut jaayega, us se kaho baahar aaye
tab hum samje shisha hein, jab hum par patthar aaye
जब हम अपने घर आये, आँख में आंसू भर आये
चिड़िया रो कर कहती है, क्यों बच्चों के पर आये
अंदर दम गुट जाएगा, उस से कहो बाहर आये
तब हम समजे शीशा हैं, जब हम पर पत्थर आये
laakho.n sadme dehro gham
laakho.n sadme dehro gham, phir bhi nahi.n hei.n aankhei.n nam
ek muddat se roye nahi.n, kya patthar ke ho gaye hum
ab zakhmo.n mei.n taab nahi.n, ab kyu.n laaye ho marham
लाखों सदमे देहरो ग़म, फिर भी नहीं हैं आँखें नम
एक मुद्दत से रोये नहीं, क्या पत्थर के हो गए हम
अब ज़ख्मों में ताब नहीं, अब क्यों लाये हो मरहम